Oroszország gyalázatos háborút folytat Ukrajna ellen.     Állj ki Ukrajnával!
  • Jalwanuma- Ghost (movie)

Ossza meg
Betűméret
Eredeti dalszöveg

Jalwanuma- Ghost (movie) szöveg

Jalwanuma
Teri saadgi
Teri dilkashi
Teri baat aaye na
Aisa kabhi hota nahi
Teri yaad aaye na
 
Teri yaadon mein hoon khoya
Kayi raaton se na soya
Raha tanha hansa roya
 
Jalwanuma tu har jagah
Tu har kahin hai jaana
Tere bina jeena mera
Mumkin nahi hai jaana
 
Mere khyaalon mein tu
Dil ke sawalon mein tu
Armaan hai mujh mein bus tera
 
Shab ke andheron mein tu
Din ke ujaalon mein tu
Har lamha tujhse hai juda
 
Jab shaam dhale
Har saans jale
Na zor chale mera
 
Jalwanuma tu har jagah
Tu har kahin hai jaana
Tere bina jeena mera
Mumkin nahi hai jaana
 
Khwaabon ki baarish mein tu
Jeene ki khwaaish mein tu
Behte lahu mein tu rawaan
 
Fitrat iraadon ki tu
Hasrat hai raaton ki tu
Subah ki tu hi iltaja
 
You are the nature of my decisions
You are the desire of nights
You are the request of the morning
 
Hai dil ki sadaa
Ab door na ja
Tu chainon sukoon mera
Jalwanuma tu har jagah
Tu har kahin hai jaana
Tere bina jeena mera
Mumkin nahi hai jaana
 
Jalwanuma tu har jagah
Tu har kahin hai jaana
Tere bina jeena mera
Mumkin nahi hai jaana
 

 

"Jalwanuma- Ghost ..." fordításai
Hozzászólások