• Azaan Sami Khan

    Transliteration

Share
Font Size
Transliteration
Translation

Ik Lamha

Teri dooriyan mujhpe gunah hai
Dil chhahat iski gawah hai
Meri duniya teri panah hai
Yahi ishq ne mujhse kaha hai
 
Kuchh mujhme tu aise basa hai
Koyi mujhme na meri jagah hai
Kuchh dekhu to tu dikhta hai
Meri ankhon main teri nigah hai
 
Tujhse bichhad ke bakhuda main yahaan
Jee na sakunga ik lamha
 
Aaram aata hai deedar se tere mit jaate hai saare gam
Hai ye dua ke tujhe dekhte dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe mai jitna bhi karlu ki phir bhi rahega vo kam
Tera tassavur mujhe deke mola ne mujhpe kiya hai karam
 
(Nikal jaaye dam, dam, dam, dam)
 
Dil savarta hai tere khayaalon se
Dil savarta hai tere khayaalon se
Jagmagaata hai tere ujaalo se
 
Raqs karta hai dil tujhpe marta hua paagalon sa tera
Paagalon sa tera zikr karta hua
Mere chaino sukun teri raah hai
Tu rooh ki khwabgaah hai
 
Tujhse bichhad ke bakhuda main yahaan
Jee na sakunga ik lamha
 
Aaram aata hai deedar se tere mit jaate hai saare gam
Hai ye dua ke tujhe dekhte dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe mai jitna bhi karlu ki phir bhi rahega vo kam
Tera tassavur mujhe deke mola ne mujhpe kiya hai karam
 
Aaram aata hai deedar se tere mit jaate hai saare gam
Shukraana chaahe mai jitna bhi karlu ki phir bhi rahega vo kam
 
Aaram aata hai deedar se tere mit jaate hai saare gam
Hai ye dua ke tujhe dekhte dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe mai jitna bhi karlu ki phir bhi rahega vo kam
Tera tassavur mujhe deke mola ne mujhpe kiya hai karam
 
Aaram aata hai deedar se tere mit jaate hai saare gam
Hai ye dua ke tujhe dekhte dekhte hi nikal jaaye dam
Hai ye dua ke tujhe dekhte dekhte hi nikal jaaye dam
 
Urdu
Original lyrics

ایک لمحہ

Click to see the original lyrics (Urdu)

Translations of "ایک لمحہ (Ik Lamha)"

Transliteration
Comments