• Anuradha Paudwal

    Man Mera Mandir Shiv Meri Pooja • Shiv Aaradhana2 translations

Favorites
Share
Font Size
Original lyrics
2 translations

Man Mera Mandir Shiv Meri Pooja lyrics

Satya hai Ishwar
Shiv hai jeevan
Sundar ye sansaar hai
Teeno lok hai tujhme teri
Maya apram par hai
 
Man mera mandir shiv meri pooja
Man mera mandir shiv meri pooja
Shiv se bada nahi koi duja
 
Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja
 
Parvati jab sita bankar jai shri ram ke sammukh aai
Ram ne unko mata kehkar shiv shankar ki mahima gaai
Shiv bhakti mein sab kuchh sujha shiv se bada nahi koi duja
 
Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja
 
Teri jata se nikli ganga aur ganga ne bhishm diya hai
Tere bhakto ki shakti ne sare jagat ko jeet liya hai
Tujhako sab devo ne puja shiv se bada nahi koi duja
 
Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja
Shiv se bada nahi koi duja
 

 

Translations of "Man Mera Mandir Shiv..."
Anuradha Paudwal: Top 3
Comments