• Ali Azmat

    Yeh jism hai toh kya • Jism 2

  • 8 translations
    English
    +7 more
Favorites
Share
Font Size
Original lyrics

Yeh jism hai toh kya lyrics

Yeh jism hai toh kya-
Yeh rooh ka libaas hai.
Yeh dard hai toh kya-
Yeh ishq ki talaash hai.
Fanaa kiya mujhe
Yeh chaahne ki aas ne.
Tarah Tarah shikast hi hua.
 
Fiza hai kya teri-
Dil-o-jahaan tabaah kiya!
Saazaa bhi kya teri-
Wafa ko bewafa kiya!
Waah re, zindagi se
Yun mujhe juda kiya!
Kahaan kahaan phirun main dhoondta?
 
Razaa hai kya teri-
Dil-o-jahaan tabaah kiya!
Saazaa bhi kya teri-
Wafa ko bewafa kiya!
Dubara zindagi se
Yun mujhe juda kiya!
Kahaan kahaan phirun main dhoondta?
 
Wahaan jahaan tuhi mera libaas hai,
Wahaan jahaan teri hi bas talaash hai,
Wahaan jahaan tujhi pe khatm aas hai,
Wahin shuru, wahin pe daafn jaan hai.
 

 

Translations of "Yeh jism hai toh kya"
Turkish #1, #2, #3
Ali Azmat: Top 3
Please help to translate "Yeh jism hai toh kya"
Comments